Electrical Engineer Kya Hai Kaise Bane Puri Jankari

Electrical Engineer kaise bane to jaise hi 10th ka exam de dete ho iske baad man me ek sawal aane lagta hai ki Electrical Engineer kya hai or kaise bane (How to become an Electrical Engineer in hindi) kya aap bhi ye saare sawalo ka javab janna chahte ho to aaj ki is article me apko details me btaunga taaki aap ek Electrical Engineer ban sako or apna naam roshan kar sako.

To aaj ke samye me har koi ko engineer banne ka shok hota hai lekin engineer ka kai sara branch hota hai unhi me se Electrical Engineer branch ata hai or ye branch ab bahut aage ki or jaa raha hai kyunki aaj ke samye me electrical ka itna jaida use ho raha hai to jahir si baat hai ki electrical engineer ka demand badhega hi.

"<yoastmark

dosto aaj ke time me agar baat kare engineer ki to iski bahut badi yogdan hoti hai hamare desh ko aage le jaane me isiliye pahle ke log kahte hai ki ek engineer bano tabhi to apne  village ko develop kar paoge to usi me se ek electrical engineers ka bahut bada yogdaan hota hai apne village ko aage develop karne me.

to agar aapka bhi ek sapna hai ki aage ek engineer bane to aapko ye pahle malum hona chahiye ki Electrical Engineers kaise bane konsi padhai kare iski kya qualification hona chahiye to aaj inhi sab ke baare me bahut achhi or details me jaankari dene wala hun jisse aapka har doubt clear ho jayga bas article ko pura dheyan se padhna.

Electrical Engineer Kya Hai

dosto electrical engineer kya hai ye janna aapke liye bahut important hai dosto engineer ka ye ek yesha branch hai jo bahut hi purana branch me se ek hai or ye aaj ek time me electrical branch top level me aane lga hai.

Iske andar student ko theory or practical dono type ka knowledge diya jata hai jo Electrical Engineer me chahiye hoti hai or iske andar sabse achhi baat ye hai ki isme aapko sabse jaida practical knowledge diya jata hai.

yaani ki machino me electric kaise supply hoti hai house wiring kaise hoti jo bhi basic knowledge hoti hai wo diploma ke andar sikhai jaati hai jo me aapko niche btaunga.

dosto agar aapko electric se achha lagao hai ya fir interest hai to aapke liye Electrical Engineer branch best ho sakti hai or dosto iske andar aapko bahut mehnat or lagan se padhai karna hoga tabhi aap ek safal Electrical Engineers ban paaoge.

Ise bhi padhe

Electrical Engineers Ke Liye Yogeyta

Dosto electrical engineers banne ke liye aapke pass 2 option hota hai agar aap ek junior electrical engineer banna chahte ho ya fir sirf engineer ka hi padhai karna chahte ho to jaise hi aap 10th pass kar lete ho iske baad aap diploma (Polytechnic) kar sakte ho electrical branch se.

agar aapko diploma nahi karna hai to aap 12th math subject ko lekar direct B.Tech me admission le sakte ho electrical engineers branch se isme aap senior Electrical Engineer bnoge lekin agar aap diploma karke B.tech me admission lete ho to aapke liye ek plus point banta hai to isliye aap apne according choose kare.

Electrical Engineer Kaise Bane

10th ke baad diploma kare Electrical Engineers se

dosto agar aap jald job pana chahte ho ya phir ek achha electrical engineers banna chahte ho to aap 10th ke baad diploma (polytechnic) kar sakte ho jo pure 3 saal ka course hota hai isme aapko electrical engineer ke basic jankari aapko di jaati hai.

jisse aap ek achhe junior engineer ban pate ho aur kisi bhi company me job karne ke layak bhi ban jaate ho agar ye course kar lete ho iske baad agar aap chahte ho senior engineer banna to aap iske baad B.tech kar sakte ho.

ye course pure 4 saal ka hota hai lekin agar diploma kar lete ho iske baad aapko B.tech karne me sirf 3 saal lagte hai aapko 1 saal ka chhut diya jata hai to jis trah se aap karna chahte ho usi trah se decide kare.

12th ke baad Electrical Engineer Kaise Kare

Dosto agar aap 12th pass kar lete ho physics, chemistry and math subject se to iske baad aap Electrical Engineer banne ke liye B.tech me admission le sakte ho or yahan par baat aati hai ki agar government college me admission lena hai.

to aapko entrance exam dena hoga or pass karna hoga tabhi aapko ek Government B.tech college me admission milega or kai saare yeshe college hai jo aapki marks ko dekhar admission de dete hai to agar aap kisi bhi college me admission lete ho.

to aapko pahle pta kar lena hai ki admission kaise li jaati hai or B.tech pure 4 saal ka hota hai jo ek graduate degree course hota hai isme aap ek senior Electrical Engineer bante ho iske baad fir aap kisi bhi company me job karne layak ho jaate ho.

Electricals Engineer Ki salary

dosto agar aap ek electrical engineer ban jaate ho iske baad aapki salary kam se kam 20 hajar se 40 hajar tak ho sakti hai ye ek satarting salary hai or agar aap ek junior engineer ho to aapki salary 10 hajar se 20 hajar tak ho sakti hai or jaise jaise aapki experiance badhte jaygi aapki salary bhi usi hisab se badhte jayga.

Electrical Engineer Career and Jobs

to dosto jaise hi aap electricals engineer ban jaate ho iske baad aati hai career ki to ek baat hamesha yaad rakhna Electrical Engineers me aap kabhi barojgar nahi rah sakte ho aap kihi bhi job kar sakte kyunki Electrical Engineers ko hamare desh me kafi jayda jarurat padti hai.

jiske karn government job bhi bahut jayda hoti hai or iske alawa aap kisi bhi company me interview de kar job kar sakte ho yaani ki agar Electrical Engineers ban jaate ho to aapke pass career ki bahut sara option hota hai.

  • Electrical Control
  • Instrumentation engineer
  • Maintenance Engineer
  • Nuclear engineer
  • Automotive Wire engineer
  • Power Plant Engineer
  • Transformer Engineer

dosto yahan par aapko bta de ki aap padhai kahi par bhi karo bas aapko padhai achhe se karna hai or puri mehnat se iske baad career to apne ban jaygi or ek electricals engineer ka career hamesha success rahta hai.

Note:- dosto agar aapka family background thoda kamjor hai or aap electricals engineer banna chahte ho to aap pahle diploma kare iske baad job karke aage ki padhai ashani se kar sakte ho.

Age Limit

is course ke liye kuchh age limit rakhi gai hai aapki age kam se kam 17 se 35 saal ke andar hona chahiye or dusre category ke liye kuchh chhut bhi diya jata hai to ek baar jarur pta kare.

do dosto maine aapko is article me btaya hai ki kaise aap ek electrical engineer ban sakte ho (How to become an electrical engineers in hindi) maine puri jankari aaptak pahuchane ka kam kya hai to agar aapko ye post achha lga ho

to aap aapne sabhi social media par jarur share kare.

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here