Aaj kal ke time me padhai karna kitna jaida important ho gaya hai aap achhi tarike se jante hai agar kisi bhi trah ka professional job karna chahte ho to apko 10th ke baad achhe se padhai karna hoga ab sabke man me sawal ata hai 10th ke baad career kaise bnaye kon sa field ka padhai kare kis field me jaida job hai bahut sara man me sawal ata hai to mai apko iss article me btaunga 10th ke baad kya kare kon sa subject le sara kuchh details me btaunga.
10th class pass out hone ke baad sahi subject ko chunna bahut important hota hai or apko ye bhi janna chahiye 12th me kis kis subject ko padhaya jata hai kyunki kai sare student hote hai jo bina soche samjhe koi bhi subject ko le lete hai or iske baad o fail ho jate hai
fir college me man nahi lagne lagta hai or fir padhai karna chhod dete or fir career barbad ho jata hai to basically iss post me 1oth ke baad konsa subject lene se sahi hoga arts, commerce, science ke baare me btaunga.
Highschool Ke Baad Kya Kare 10th ke baad kya kare
What To Do After 10th
jaisa ki 10th me sabhi student ko ek jaisa padhaya jata hai lekin aage ka padhai karne ke liye apko subject ko chose karna padta hai or sabhi student isi chij me ghabra jaate hai arts, commerce ya fir science to isi me se kisi ek subject ko chunna hota hai to chalye
ek ek karke jaan lete hai kisme kya padhai karna hota hai or isme career ke baare me.
hair fall hota hai.
Science Subject & Career Option
Agar app ek professional high level ka job karna chahte hai For Ex:-Engineer, Doctor, Scientist banna chahte hai to apko science lena hoga or ye dusre subject se kafi jaida
value mani jati hai yani ki iss subject ka demand aage ja ke bahut jaida hai ye subject me bahut jaida mehnat karni padti hai yani ki apko pura man laga ke padhai karna hoga.
Science me apko 2 option milti hai medical or dusra non medical agar apko doctor banna hai to (Biology) subject lena hoga or agar apko non medical me jana hai For Ex:- engineer, Scientist to apko maths lena hoga.
Which Are The Subject In Science
Science Me Kitne Subject hote hai chalye jaan lete hai.
- Mathematics
- Physics
- Biology
- Chemistry
- Biotechnology
- Computer Science
Commerce Subject & Career Option
iss stream ko bahut se student lena pasand karte hai. agar aap accounting, finance ya banking ke Field mei apna career bnaana chaahte ho to aapke paas commerce hona jaruree hai. commerce mei aapko economics, Business studies jaise subject milte hai. agar aap commerce se 12th paas karte ho to b.com, bb, bms, bbm, chf, ch, ichw, chfp jaise course ke saath apnee graduation kar sakte ho.
Which Are The Subject In Commerce
Commerce Stream ko chose karne se pahle iske subject ke baare me janna kafi important hai basically isme kounsa kounsa subject padhya jatra hai.
- 1)Accountancy
- 2)English
- 3)Economics
- 4)Mathematics
- 5)Business Studies
Arts Subject & Career Option
agar aapaka dilchasp media, journalism, literature, sociology, social service, human psychology, political, economics, history jaise subject mei intrest hai to aap arts stream se 12th paas kar sakate ho. bahut se logo ke man me kheyal rahta hai ki arts vo log lete hai jinka padhai mei man nahi lagta ya phir jinke kam marks hote hai jabaki aisa kahna bilkul uchit nahi hai. aarts lekar bhee log apna career bna sakte hai aise log vakil, politician, professor, teacher field mei apna career bna sakte hai.
Which Are The Subject In Commerce
- 1)Economics
- 2)History
- 3)English
- 4)Political Science
- 5)Sanskrit
- 6)Geography
- 7)Sociology
- 8)Philosophy
- 9)Psychology
Diploma Course After 10th
Agar aap 10th class pass out hone ke baad jaldhi job pana chahte ya ek professional banna chahte hai to aap 10th ke baad diploma kar sakte apko diploma karne ke liye apko bahut sare private or government institute mil jayenge jaha diploma kar sakte hai or iske help
se job kar sakte hai to chalye jante hai aap diploma konsa subject me kar sakte ho.
Polytechnic kaise kare.
BCA Kaise Kare.
Subject For Diploma
Diploma me bhi kai sare branch hote hai or branch ke according padhai karai jati hai For Ex:-Computer Science Engineer, Mechanical Engineer, Civil Engineer, Electrical Engineer
Ye Saare Branch hote hai diploma course me or iske baad jab diploma competed kar lete ho to aap branch ke according aap job kar sakte ho Ya fir degree ke liye aap aage ki padhai kar sakte ho.
ITI Course After 10th
Agar aap diploma nahi karna chahtre hai to aap ITI (Industrial Training Institute) Kar sakte ho isme apko practical knowledge jaida diya jata hai isko karne se aap easy tarike se kisi bhi industrial me job pa sakte ho.
Note:-
Isme Jo bhi btaya geya hai 10th ke baad aap inme se koi ek kar sakte ho or aap apne according kisi bhi subject ko chune jo apko achha lagta ho jisme apka jaida interest hota ho. Thank You