BCA Kya Hai | BCA Kaise Kare Full Information in hindi | ralearn

Aaj ke time me study karna bahut important part ban chuka hai hamare life me jab ek student 10th pass out ho jata hai to uske man sawal ane lagta hai ki aage ab kya karo to bahut saare student 11th or 12th ka padhai kar lete hai or usme subject ko chunna padta hai fir o sab 12th pass out ho kar apna aage ke life ke baare me sochne lagte hai or kisi ka man me hota hai computer ka padhai karna or isiliye o sochte hai BCA kar le but kai log ko
malum nahi hota hai ki BCA course hota hai kya basically or (BCA Kya Hai BCA Kaise Kare Full Information in hindi ralearn) ise kaha se kare to aaj ke iss post me mai apko puri jaankari dene wala hu.

Aaj ke time me student ko kafi jaida computer field me interest hai or isiliye kai sare students 12th pass out hone ke baad computer field me jana chahte hai or computer field ke liye BCA kafi achha choice rakhte hai karne ke liye but BCA me admission lene se pahle apko kuchh baate pta hona chahiye | Isme kiss trah ka padhai hoti hai or kaise kraya jata hai or BCA karne ke baad app kiss trah ka job kar sakte hai to hamlog sabse pahle jaante hai ki BCA kya hota hai.

BCA Kya Hai | BCA Kaise Kare Full Information in hindi

what-is-bca in hindi

What Is BCA Course Full Information

BCA ka full name hota hai (Bachelor of Computer Application) Ye ek professional degree course hota hai jo ki puri 3 years ka course hota hai ye ek undergraduate degree course hai isse app 12th pass out hokar kar sakte hai isme computer science or computer application ke related padhaya jata hai.

Ye Ek technical digri course hota hai jisme student ko computer computer se related field ke liye ready karwaya jata hai jisse ki aage jaa ke it company ya fir computer ke field me job easy se kar sake or iss course me khass baat hai ki isse karne ke baad apko.

computer ke baare me achhi khasi yani ki sari jaankari apko ho jayegi For ex:- Software kaise bnaya jata hai basically work kaise karta hai kya chij use kya jata hai or app software bna sakte hai BCA degree complete karne ke baad app software engineering ka job kar sakte hai or dusri faida BCA complete karne ke baad MCA kar sak sakte hai.

BCA Course Me kya Shikhaya jata hai

  • Computer programming language shikhaya jata hai
  • Computer network ke baare me shikhaya jata hai
  • Software bnana shikhaya jata hai
  • Website Design karna shikhaya jata hai
  • Computer ke high label ke baare me btaya jata hai

Eligibility For BCA Course

  • Kuchh college me science subject maangte hai ya fir math subject ya fir
    computer science
  • BCA me admission lene ke liye apko 12th pass out hona chahiye
  • BCA ke liye 12th me 45% minimum hona chahiye

BCA Course ki padhai kaise kare

12th pass kare Good Marks se
Agar app BCA karna chahte hai to apko 12th pass out hona hoga good marks se
ya fir 12th me computer subject chose kar sakte hai ya fir app kisi bhi subject
se 12th pass kar sakte hai lekin apko dheyan r rakhna hai kuchh college yeshe
bhi hai jo math or science subject mangte hai lekin kuchh university eshe bhi hai
jo arts subject se bhi kar sakte hai.

BCA Entrance Exam De

Agar app kisi achhe college se BCA karna chahte hai to apko iske liye Entrance
exam dena or ise clear bhi karna hoga iske baad app achhe colleges me admission
le sakte hai Kuchh colleges Bina Entrance exam ke bhi apko admission dete hai.

BCA Ki Study Complete Kare

Jaisi hi apka kisi bhi college me admission ho jata hai iske baad apko 3 year ki puri study karni hogi or bilkul achhe se taki computer basic, networking, programming language or website development ke baare me achhi jaankari ho sake or isme pura 6 semester hota hai jisme apko last year me apko project deni hoti hai jo ki kafi jaida important hota hai isse apka marks jata hai according to project iske baad hi apka BCA complete hoga.

Internship ke liye apply kare

Apka Jaisi hi BCA Degree complete ho jata hai iske baad apko internship ke liye apply kar deni cahiye kisi it company field ke liye isse apko idea ho jayega ki industry me work kaise hota hai iske baad jaisi hi apka internship complete ho jata hai to app MCA ke liye apply kar sakte hai ya fir BCA complete karte hi App MCA kar sakte hai ya fir app job kar sakte jo apko man kare to app istrah se BCA completed kar sakte hai.

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here