Aaj kal ke time me bhag daud ka zindagi ban chuka hai jiske karn hamlog apna body ko care nahi karte hai or kai sara problem hone lagta hai or fir hamlog pareshan ho jaate hai
unhi mai se ek sabse bada problem hair fall hona yani ki baalo ka girna jo ki abhi ke time me baalo ka girna ek common problem ban chuka hai jeshe ki 15 se 20 years mai hi
koi ganje ho jaate hai kai saare log ke seer ke saare baal time se pahle gir jata hai iske pichhe kya karn hai ? hamare hair kyun jhadte hai kya baalo ko jhadne se roka jaa sakta hai to iss article me mai apko kuchh tips dene wala hun (How To Stop Hair Fall (Hair Fall कैसे रोके) In Hindi) jisse apka baal kuchh achha ho sake or hair fall hona control ho sake.
hair fall ki problem aajakal badhatee ja rahee hai. baal girane ki pareshani se bachane ke liye log tarah-tarah ke medicine or chemical vaale products ka istemaal karane lage hai. isake saath hi hair transplant ka mahanga kharcha. jiskee vajah se shaareer mein kai tarah ke saide effects hone lagte hai. aur baalo ka jhaadna jyaada badh jaata hai. aise mein hair transplant ka cost bahut jaida adhik hai iska kharcha sabhee nahi utha sakate.
Benefits Of Drinking Water
baal girne ki problem female aur male dono mein hoti hai. lekin aajakal male mein hair loss ki problem bahut jyaada dekhne ko mil rahi hai. sabse pahle hame ganjaapan hone ke kaaran jaanna jaruri hai. kiya karn hai baalo ka jhadane ki, baal kiyu girne lagte hai, baalo
ka jhadna kaise roke, hair loss treatment kiya hai aur ganjaapan rokne ke gharelu upae
ke baare mein aapko yahaan jaankari details mai mil jaegee to iss post ko pura padhna.
How To Stop Hair Fall (Hair Fall कैसे रोके) In Hindi
What Are The Reason Of Hair Fall
Baalo ka girna koi ek karn nahi hote hai iska kai sare reason hota hai but mai apko sabse main reason btayenge jiske karn jaida. hair fall hota hai.
1) Vitamin Ki Kami Hona
jab hamaare body mein vitamin ki kami hone lag jaatee hai, to baal girna
shuroo ho jaata hai.
2) Baalo me dandruff Hona
Agar apke baalo me jaida dandruff hai to ye bhi karn
hota hai hair fall hona.
.
3) Cosmetic Product Ka Use Karna
Daily cosmetic products ka jyaada istemaal karne se bhee hair fall start ho jaata hai For Ex:- shampoo ya nahaane ka saabun se rojaana baal dhona, baalo ko kalar karna, alag-alag tarah ke khushboodaar tel ( fragranchai oils ) ka adhik istemaal karana.
4) Adhik Stress Lena
Agar aap apne job se yani ki apne kaam se bahut jaida stress lete ho to isse bhi hair fall hota.
5) Jaida Helmet Ka Use Karna
dhup mein adhik time tak rahne se bhi hair fall ki shikaayat ho jaati hai. helmet ko
adhik time tak lagaaye rakhne se bhi kamjor baal hokar tootne aur jhadne lagte hai.
6) Sahi Food Ka Sevan Na Karna
Aaj kal ke boys or girls log bahut jaida junks foods khana pasand karte hai lekin shayad kuchh log nahi jante hai esha khana khane se hair fall jaida hota hai.
7) Alag Alag Chemical Shampoo Ka Use Karna
Agar aap trah trah ke chemical shampoo ka use karte hai or daily karte hai to isse hair fall hota hai.
8) vitaamin B Ka Kami Hona
Ek Research Se Paya Geya Hai Ki Vitamin B Ki Kami Se Bhi Hair Fall Hota Hai.
How To Stop Hair Fall
Agar apka bhaut jaida hair fall hone lage hai to niche btaye gaye tips ko follow kare iske help se aap apna hair fall ko stop kar sakte hai.
1) Scalp Ko Oil Se Malish kare
Agar apka Hair tak blood circulation nahi ho pata hai to isse apka hair fall shuru ho jata hai agar aap 1 weak me 1 se 2 din apne maathe pe malish karte hai to blood circulation sahi ho jata hai jisse hair fall hona band ho jata hai.
Or Apko dheyan rakhna hai chemical oil na ho uss oil me kyunki market me kai saare eshe oil hote hai jisme bahut khusbu hoti hai to aap chemical oil ka use na kare.
2) Water Ka Jaida Use Kare
Girte baalo ko rokne ke liye khoob saara water peena chahiye. hamaare body mein
water ki bahut aham bhoomika hoti hai. agar ham jyaada pani ka sevan karenge to baal girna kam honge saath hi body mein koi beemaaree bhee kabhee nahi hogee. water tab na piye jab aapako pyaas lage har 2 se 3 ghante mein water pite rahana chaahie.
3) Scalp Me Pyaaj Ka Rash Lagaye
Pyaaj ka rash hamare Hair Ke liye bahut jaida benefits hota hai iske andar sabse jaida sulfur paya jata hai jo scalp me blood ko circulate karne me kafi help karega iske yelawa jo bhi infection hai ya bacteria hai o sare maathe me hi mar jayega pyaaj ka rash se ye hair fall kam hota hai ye research se bhi proved hua hai pyaaj hair fall hone se rokta hai to aap hair me pyaaj ko laga kar scalp pe 30 minute tak rakhe or fir baalo ko water se dho le aap ise 1 weak me 2 se 3 baar use kar sakte hai.
4) Postik aahar le
Aksar hair fall hone lagate hai jab ham Postik aahaar nahi lete hai. adhik junk foods ka sevan karna ye hair loss ka sabse main reason hai. kai logo mein sar ke baal jhadne ki
sikaayat atyaadhik talee bhunee cheeze khaane se hoti hai. aap jo bhee aahaar le usme iron, vitamin, protein, zinc, copper aur vitamin-B jarur hona chaahie.
5) Coconut Oil Use Kare
aap kisi khushboodaar oil kee jagah apne baalo mei naariyal (coconut) oil lagaaye. coconut oil ke daily use se aapke healthy aur ghani hair honge. is oil se baalo kee maalish rojaana kare to hair fall kam kiya ja sakta hai.
6) Sharab Or Smoking Kabhi Na Kare
sharab aur smoking se bhee baal girne lag jaate hai. agar aap inka use adhik maatra mei karte hai, to aapke hair fall kee vajah yahee hai. sharab ka jyaada istemaal se baal to jhadane lagte hi hai iske saath safed baal hone ka kaaran bhee yahee sharaab aur smoking hai.
7) Dahi Or Nimbu Ko Baalo Me Lagaye
Ek kotere me dahi or nimbu ka mixture bna lijiye iske baad ise apko baalo ke scalp pe lagaye ye mixture ek hair conditioners ki trah kaam karega jo apke baalo se saare dandruff ko nikal dega or jaise ki aap sabhi log jante hi hai hair dandruff nahi hoga to isse hair fall
hona stop ho jayega or apke hair strong ho jayega to dahi or nimbu ke mixture se mathe ko massage karne ke baad ise karib 30 se 40 minute ke liye chhod de fir ise kisi
natural shampoo se hair dhoye.
8) Daily Exercise Kare
Agar apka hair fall kafi jaida ho raha hai to aap daily exercise kare yani ki morning time me matha ko niche kare or per ko uppar kere isse blood circulation mathe tak tak easy se pahunch jata hai jisse hair fall hona kafi sahi ho jata hai ya fir morning time me khali pet apna nakhun ko dono nakhun se apas me ragde isse blood circulate jaida fast hota hai jisse apka hair fall hona ruk sakta hai isko kafi dino tak kare tabhi iska farak apko nazar ayega.
Note:-
To ye saare tips k follow karke aap apna hair fall ko stop kar sakte hai or apne hair ko strong bna sakte hai or new hair ko wapas laa sakte hai ya fir aap kisi hair expert doctor se aap ilaj karwaye. Thank You