Jab ek student apna school mai padhai karta hai to o sochta hai ki jab mai apna padhai ko end kar dunga yani ki jab mai 10th pass kar lunga to aage jaa ke kya banuga jo ki mai ek achha inshan ban saku or apna life ko achhe se bita saku ye saare baate sochta hai lekin usko sahi se guide nahi mil pata hai to iss post me mai apko btaunga ki app 10th ke baad ya fir ITI karne ke baad ya fir 12th ke baad Polytechnick kaise kar sakte hai (Polytechnic Kya Hai Polytechnic Kaise kare Information In Hindi) to iss post ko pura dheyan se padhna.
Polytechnic Kya Hai Polytechnic Kaise kare Information In Hindi
Introduction To Polytechnic
iss course me kya paya jata hai aur Polytechnic kaise kare how to do Polytechnic in Hindi iske liye kya kya Yogeyta (ability) chahiye Polytechnic mein admission lene ke liye
eligibility criteria for Polytechnic admission karne ke kya kya fayde Hai Puri Jankari Hindi mein Polytechnic bahut hi popular course Hai Jise karne ke baad.
aap aasani se apne main interest ki exam de sakte hai padhai karne ke baad job kar sakte hain lekin iss course mein admission Lena Itna Aasan Nahi Hai iske liye kuch yogyata honi chahiye tabhi app Polytechnic mai admission Le sakte hain sabse Pehle Jaan Lete Hain Polytechnic kya hai or ismai kitna jaida faida hai Polytechnic karne ke baad kis field mein job kar sakte Puri deatils mai btane wala hu.
Polytechnic Kya Hai
Polytechnic 1 popular diploma course hai jisse aap 10th pass karne ke baad ya 12th pass karne ke baad bhi kar sakte hain uski help se agar aap Kisi bhi field main jana Chahe.
chahe o Mechanical Engineer ho ya phir Civil Engineer ho ya phir Kisi bhi engineer field diploma karna chahte ho toh app polytechnic course ke liye apply kar sakte hain
Yeh course Puri 3 Saal Ka Hota Hai Iss course Ki khasiyat Yeh hai ki aap Polytechnic course karne ke baad direct degree ke liye B.Tech ke dusre year yani 2nd year mein admission Le sakte hain.
ya phir Agar Apne Chemical Engineering Polytechnic Diploma Kiya Hai To uske baad agar aap degree karna chahte hain toh aap direct B.Tech Second year Mechanical engineering
mai admission Le sakte hain iss course Mai bahut Sare course hote hai or branch bhi hote hai jo aap apni Pasand ke hisab se le sakte hain iss course ko karne ke liye aapko entrance exam Dena Hoga Jaise Hi CET yani common entrance test kehte hain.
Jise aap ko pass karna hota hai agar aap government college mein admission Lena chahte hai toh aapko iss exam Mein acche Rank lana Hoga tabhi AapKe Acche Polytechnic College Milega Warna aapko Kisi private college mein admission Lena Hoga Jiski fees bahut hi jaida Hogi takriban 30,000 se 50,000 Ke Aas Paas jabki government college Main 10,000 se 15,000 Ke Aas Paas hoti hai par semester ki. koshish Kare better marks banane ki ta ki best college.
Polytchnick Ke Baad Kis Field Job
- Polytechnic course first art of drawing Teacher.
- Automobile engineering.
- Chemical engineering.
- Civil engineering.
- Civil Engineering construction technology civil engineering.
- Applied art only for girls.
- Computer engineering.
- Electrical engineering.
- Electronics and communication engineering.
- Electronics in engineering digital electronics.
- Fashion design only for girls.
- Instrumentation and control interior design only for girls medical.
- Laboratory technology mechanical engineering.
Polytechnic Ka Matlab Kya Hota Hai.
Polytechnic ka matlab hota hai Yeh do shabdo Se Milkar Bana Hai poly Or technic Poly ka matlab hota hai bahut Gyani or (poly) ka matlab hota hai Kala ya phir practical tarike se Sikhna to polytechnic ek Sanstha hai ya phir College Jahan Par aapko esi cheezon ke liye taiyar Kiya Jata Hai Jo ki app jiss field mein aapka interest hai Aage uss field mai jaa
ke job kar sakte hain aur Apna career bana sakte hain ab Sawal udta hai ki Kaun Polytechnic course kar sakta hain iske liye kya yogyata honi chahiye.
Polytechnic course ke liye Yogyata eligibility criteria for Polytechnic admission.
- candidate 10th pass honi chahiye ya 12th pass hona chahiye.
- Polytechnic mein admission lene ke liye kam se kam aap ke 35% marks honi chahiye science maths or English subject mai.
Polytechnic course karne ke fayde advantage of polytechnic course.
- Polytechnic 10th 12th ke baad kar sakte hain.
- Polytechnic main aapko practical tarike se sikhe Jata Hai.
- Polytechnic course karne ke baad aap job kar sakte hain.
- Polytechnic ke baad aap Sidha engineering ke second year admission Le sakte hain
Polytechnic kaise kare Polytechnic mein admission lene ki jankari..?
10th pass Kare
Agar aapko Polytechnic mai admission lena hai toh iske liye sabse Pehle Aap Ko 10th pass karna hoga aur koshish Kare maths English or Science subject Mein acche marks laye taki
percentage Ki dikkat Na Ho Kyunki isi subject mai jaida kam marks aate hai Dhyan se aur Samaj Ke padhe.
Kyun ? aapko inhi subject mein se Sawal Puchhe Jate Hain Jo object yani 4 option wale exam hote hain ya phir aap Chahe to 12th pass karne ke baad bhi poltechnic kar sakte hain ya aap Chahe to ITI karne ke baad bhi isko kar sakte hain lekin agar aap 10th Ke Baad karte hain toh best hoga..
Polytechnic Interest Test De Or Achha Rank Laye
Jaise hi aap 10th karte hain phir App polytechnic exam ka form Bhar sakte hain Jise CET yani common entrance test bhi khate Hain Sabka Apna state ke hisab se exam hote hain
toh aap Koshish Karna Jo Bhi polytechnic exam de usme acche Rank karne ki koshish karne ki taki best Government College mill sake or Aur Ek accha placement job salary mil sake
counseling ke liye apply Kare..?
Agar App polytechnic entrance exam clear kar lete hain Iske baad aapko counselling karna hota hai yani college chunna hota hai ki aapko konsa college chahiye aur yeh sab online process Hota Hai AapKe Rank Kya hai apne kitne Rank Laya Hai exam Mein Usi hisab se aapko college Diya jata hai or app apna polytechnic ko finally iss trah se kar sakte hai.
Agar Apko ye post achha lage to app iss post ko share kar dena.