Har student ka ek dream hota hai ki me ek successfull inshan banu taki aage ki life achhe se bit sake or 10th pass out hone ke baad apna career ke baare me sochne lagte hai jo aap banna chahte ho usi hisab se subject ko chunna padta hai iske baad 12th pass out hone ke baad aap jis field ke liye aap suject ko chose kiye the usi field me jane ka moka milega.
To kai saare student ka sapna hota hai ya fir apna career b.tech karke bnana chahte hai yani ki ek Engineer banna chahte hai jo ki 12th pass out hone ke baad ye course ko kar sakte hai to kai saare bhai malum nahi hota hai ki basically B.Tech me kou koun subject hota hai isme kya padhaya jata hai or B.Tech ke liye apply kaise kare iss post me puri jaankari dene wale ha issliye iss post ko pura dheyan se padhna.
B.Tech Kaise Kare (B.Tech-कैसे-करे) In Hindi
What Is B.Tech Course In Hindi
B.Tech ka full form hota hai (Bachelor Of Technology) ye ek bachelor degree hota hai jo pure 4 years ka courese hota hai isme bahut saare branch hota hai jo ki depend karta hai aap pe ki aap kis chij me intrest rakhte ho For Ex:- Computer Engineer, Mechanical Engineer or bahut saare branch hote hai to bas apko usi hisab se apply kar sakte hai.
B.Tech Popular Course
- B.Tech In Electrical Engineering
- B.Tech In Computer Engineering
- B.Tech In Mechanical Engineering
- B.Tech In Civil Engineering
- B.Tech In Electronics Engineering
- B.Tech In Information Technology
Eligibility Criteria For B.Tech In Hindi
-
- 12th pass out hona chahiye
-
- 2th me math subject hona chahiye
- 2th me kam se kam 60% marks hona chahiye B.Tech ke
intrense exam me baithne ke liye tabhi apko ek achha
college milega
B.Tech Course Kaise Kare
Mai sabse pahle btana chahta hu ki B.Tech me ek course nahi hota hai isme kai saare course hote hai or apko B.Tech Karne ke liye kai saare private colleges or government
colleges mil jayenge jaha se aap apna B.Tech ka course kar sakte hai or apko btana chahta hu ki B.Tech karne ke liye apko man laga kar padhai karna hoga tabhi aap ek successfull engineer ban sakte.
Agar aap government college me jana chahte hai to apko pahle entrance exam ko clear karna hoga tabhi aap government college me jaa sakte hai waise aap Private college se
bhi B.Tech kar sakte hai bas apko jaida money pay karna hoga.
B.Tech Course Fees
B.Tech ka fees depend karta hai college par waise jo jaidatar sabhi private college me jo fees liya jata hai 1 se 2 lakh per year liya jata hai or government college me lagbhag 80 Thousand fees liya jata hai per year.
-
12th kare science subject se
Agar aap B.Tech karna chahte hai to apko 12th ki padhai karni hogi or dheyan rahe jaise aap 10th pass kar lete ho iske baad subject ko chose karna hota hai ko ki apko science subject ko chose karna hota hai o bhi (Physics, chemistry, maths) tabhi aap B.Tech kar sakte hai.
2) B.Tech Course Ke Liye Entrance Exam Clear Kare
Agar aap ek achhe college se B.Tech karna chahte hai to pahle entrance exam ko clear kare tabhi apko ek achha university milega o bhi government or apko dheyan rakhna jitna jaida apka achha marks aayega utna hi achha university milega iss liye achhe se apko entrance exam ko clear karna.
3) B.Tech Course Ki Padhai Puri Kare
Jaise aap B.Tech me admission lete ho uske baad apko 4th year B.Tech ko compete karne me lagta hai or apko dheyan rahe agar ek achha placement chahte ho to apko achhe se padhai karna hoga or last me apko achha project bnana hoga tabhi apka achhe company me placement hoga or aap achhe se job kar sakte ho.
Note:-
To aap istrah se B.Tech kar sakte ho or agar B.Tech ke baad job nahi karna chahte ho to aap M.Tech me admission le sakte ho jisse ki apka value or jaida ho jayegi or aap ralearn.com ka sath dete rahiye. Thank You