Block Website ko kaise Open kare puri jankari

Block Website ko kaise Open kare puri jankari Internet life main Kitna important ho geya hai woh aap acche tarike se Jante hain aur Dosto internet Ke Bina Hum Logo ko Rehna bahut Mushkil ho jata hai aap Kabhi Na Kabhi Dekha Hoga Ki School Mein ya phir college main website block Hoti Hai yani ki Facebook and whatsapp YouTube school mein block hoti hai vo Kaise hoti App kabhi iske baare main soche nahi honge or Jo hamari government website ko kaise block karti hai kya Hum block website ko access kar sakte hain iss post Mein Hum Log yahi Dekhenge ki block website ko kaise use kar sakte hain (How to open block website in hindi) aur ye block website Kaise hoti hai.

block websites

Sabse Pehle Hum Log dekhte hain ki jo website block hoti hai woh Kis Kis level par block hoti hai.

  • Local Computer
  • Router
  • Server

Hamlog Iss Post Main sara kuchh details main dekhenge iss liye iss post ko pura padhe taki apko achhe se samjh main aa jaye.

Local Computer Main Block Website kaise hoti hai.?

Humko Kisi website Apne computer main block karna hai to jab ham search karte hai google.com to hamko ek ip address milta hai jo ki google page ka ip address hota hai or hamara computer server se connection bna leta hai lekin agar ham chahe ki ham apne local computer se google.com ko block karna apne local computer ke liye.

to ham iske liye pahle jayenge (c drive ke andar) phir jayenge (window ke andar) phir jayenge (system32) ke andar phir jayenge (drivers) ke andar phir jayenge (etc) ke andar.

Iske baad jo host ka file mil raha hai usse opne kar lena kisi bh text-editor se iske niche apko type karna hai apna local computer ka ip address  (127.0.0.1 www.facebook.com) jiss kisi ka website app band karna chahte hai apne local computer mai iske baar apke save karna hai. iske baad jab app open karenge to open nahi hoga.

Steps.


  • sabse pahle (ThisPC > os > windows > system32 > drivers > etc)
    iss file ke andar apko jana hai

  • 2nd steps Ab Apko host file ko open karna hai kisi text-editor
    se.

  • 3rd steps Apko type karna hai apna local ip address 127.0.0.1

  • 4th steps phir apko jis website ko band karna chahte hai uska url
    daal de for ex:-www.facebook.com

  • 5th steps isko fir save kar de.

  • Ab open kare jo app block kiye hai o open nahi hoga.

block website tips

Working Block Website in hindi.

jab ham apne local copmuter ka ip address fill karke save kar dete iske baad jab open karte hai to jo ip address milta hai facebook page tak jane ke liye o hamara hi local computer ka ip address mil jata hai jiske karn hamara computer connection server se connection nahi bna pata hai kyunki o ip address khud ka local computer ka ip address hota hai jiske karn o open nahi hota hai.

Notice.

Agar app jo block kiye hai usse hatana chahte hai to app apna jahan local copmuter ka ip address daale hai usse remove kar de.

Router Main block Website Kaise Hoti Hai.

Second level hai router school or college ya phir Kahin Bhi Ek particular Jagah ke liye internet use Kiya jata hai yani ki Jahan Koi student ho ya phir apne ghar mein router ka use karte hain internet ko use karne ke liye.

lekin aap ne school or college mein ya phir ghar mein aap dikhte Honge ki website use nahi kar sakte hai yani ki o block hoti hai. For example Facebook WhatsApp and YouTube Hum Ye Sare website ko access nahi kar paate Hain kyunki Jo Hamare college wale hote hai.

ya phir school wale hote hain wo in website ko block kar dete Hain yani ki band kar dete Hain. ye kaise karti hai o apne router se facebook or youtube ka jo ip address hota usse block kar dete hai apne router main.

Working

Jo kuch bhi Hum search karte hain woh IP address sabse Pehle router ke pas jati hai aur wahan pe check karti hai ki jo IP address hai wo block to nahi hai agar block hoti hai toh Woh Hame page Tak Nahi Jane Deti Hai Agar wo IP address block nahi hoti hai toh hum simply us page Tak Chale Jate Hain Jo page Ko Hum search karte hain to issi Tarah Se Hamara router kaam karta hai aur ISI Tarah Se website block ki jaati hai.

Third Level (IPS) Internet Provide Service.

Internet main Koi bhi website block karna hai pure ek country ke liye to (IPS) Internet Provide Service ke help se kya jata hai Maan Lijiye ki agar Hamare government ko Apne Desh Ke liye Kisi bhi website ko band karna ho to hamare government hoti hai woh directly Jahan se Hame network milti hai wahan se website ko band kar deti hai.

yani ki block kar deti hai lekin aap ko Maloom hona chahiye agar government ko pure apne desh ke liye kisi bhi websites ko block karna hai to jahan se hame internet mil rahi hai jio Airtel company Ke Paas jana hoga aur usko bolna Hoga Hume websites band karni hai to jo jio wale Hote Hain Us IP address Ko band kar deti hai jo website band karna chah rahi hai sarkar.

yani ki Maan Lijiye Kisi bhi website ko band karna yani fb.com ko band karna hai tu jo fb.com Ka IP address hota hai usse block kar deti hai jab hum search karte hain ki Hame fb.com chahiye.

tab jo Hume IP address milti hai facebook.com Ka IP address milti hai lekin o ip address Jati Hai Sawar ke pass or check Karti Hai IP address ko block to nahi hai agar hoti hai toh hum usko open nahi kar pate hain or agar block nahi hoti hai to open Nahi Hota Hai Iss Tarah Se Third Level Mein Hota Hai Ki Jahan se Hame IPS internet provider service directly milti hai waha se band Hota Hai

How To Open Block Websites Information In Hindi

Agar aapko block website open karna hai toh aap VPN ko use kar sakte hain VPN ka full name hota hai virtual private network yani Ki Jab aap iss ka use karte hain toh aapko Ek Apna private network Bana Lete Hain. maan lijiye apke country main websites ko block kar diya geya hai or app uss websites ko visit karna chahte hai to easy tarike se visit kar sakte hai VPN ka use karke.

Apko ek app download karna padega agar app download karna chahte hai to download par click kar de iske baad isko install kar le.

Steps.


  • Sabse pahle application ko install kar le.

  • Iske baad open kare.

  • Iske baad country select kare.

  • Dheyan rahe apna country select nahi karna kisi dusre country
    select kar le.

  • phir apko ek button connect naam ka apko connect par click karke
    connect kar lena hai..

  • Iske baad aap block websites ko access kare.

  • Apka access hona start ho jayega.

Alert Notice.

Internet se aap online transaction karte hai ya phir online banking karte hain ya phir apna WhatsApp use karte hai ya phir apna Facebook account ko use karte hai toh aap kabhi bhi VPN ka use Na Kare. kyunki jo bhi kuchh karte hai VPN ka use karke sara information app ke company ke pass chala jata jisse ki o apka galat bhi use kar sakta hai.

issliye app kabhi bhi apna personal account ko kabhi use na kare VPN ke trough se.agar karte hai to ye apke liye danger bhi ho sakta hai. Issliye kabhi bhi aap personal account ko use Na Kare. Main meed Karta Hun Ki ye post aapko accha laga ho toh please post ko share kare Apne Dosto ke sath taki usko bhi malum chale ki block websites kaise access karte hai so.

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here